guzre hue mah o sal ke gham
tanhai shab mein jag uTThe hain
umr-e-rafta ki justuju mein
ashkon ke charagh jal rahe hain
aasaish-e-zindagi ki hasrat
mazi ka naqsh ban chuki hai
haalat ki na-guzir talKHi
ek ek nafas mein bas gai hai
nakaami-e-arzu ko dil ne
taslim o raza ke nam baKHshe
milne ki KHushi bichhaDne ka gham
kya kya the fareb-e-zindagi ke
ek umr mein ab samajh sake hain
KHushiyon ka fusun gurez pa hai
ab tark dua ki manzilen hain
daman-e-talab simaT chuka hai
nakaami-e-shauq miTte miTte
jine ka shuur de gai hai
ye gham hai nawae shab ka hasil
ye dard mata-e-zindagi hai
ujDi hui har rawish chaman ki
deti hai suragh rang o bu ka
viran hain zindagi ki rahen
raushan hai charagh aarzu ka
Nazm
Bazyaft
Mahmood Ayaz