KHamushi rengti hai rahon par
ek afsun-ba-dosh KHwab liye
raat ruk ruk ke sans leti hai
apni zulmat ka bojh uThae hue
muzmahil chand ki shuaon mein
bite lamhon ki yaad raqsan hai
jaane kin mah-o-sal ka saya
waqt ki aahaTon pe larzan hai
ek yaad ek tasawwur-e-rafta
sina-e-mah se ubharta hai
hai ye sarshaari-e-hayat ka rang
dard kin manzilon se guzra hai
Nazm
Baz-gasht
Mahmood Ayaz