kis qayamat ka tabassum hai tere honTon par
istiaron mein bhaTakte hain KHayalat mere
main ki har sans ko ek sher bana sakta hun
nazm hone ko pareshan hain jazbaat mere
aankh jamti nahin lahraate hue qadmon par
kisi naghme ka talatum hai ki raftar teri
raqs angDaiyan leta hai teri banhon mein
hairat-asar hai kyun chashm-e-fusun-bar teri
be-KHayali mein nashebon se guzarne wali
farsh hamwar se uljhenge qadam rah rah kar
lab thirak jaenge alfaz ki mausiqi par
apni raftar se uljhenge qadam rah rah kar
dekhte dekhte bharpur jawani ki haya
teri bebak nigahon mein sama jaegi
parda-e-chashm se niklengi jhijak kar nazren
zulf Darti hui ruKHsar pe lahraegi
jism har gam pe laghzish ka ishaara pa kar
jam-e-labrez ki manind chhalak jaega
reshmi reshmi zulfon se phisalta aanchal
kabhi shanon se kabhi sar se Dhalak jaega

Nazm
Baada-e-nim-ras
Saifuddin Saif