اردو हिंदी
Azhdaha | Shaahi Shayari
azhdaha

Nazm

Azhdaha

Zeeshan Sahil

;

nashte ke baad
aaj hum aap ko

ek azhdahe se milwaenge
jise hum ne

samundar mein munh Dal ke
pani pite hue pakDa hai

hum ne abhi tak
us ke peT mein

kachhwe ke anDe shutur murgh ki Tangen
aur ek sahra daryaft kiya hai

wo KHema
aur wo hiran ki khaal

abhi hamein nahin mili hai
jahan sote hue

hamein azhdahe ne
nashte se pahle nigla tha