اردو हिंदी
Aur moD ne kaha | Shaahi Shayari
aur moD ne kaha

Nazm

Aur moD ne kaha

Sabir Dutt

;

baad muddat chale aae kaise idhar
aaj kis tarah mera KHayal aa gaya

Thahro ruk jao rishta hai kuchh mujh se bhi
kuchh dinon ka nahin rabt-e-derina hai

naqsh-e-pa main tumhaare liye baiTha hun
raaz sine mein hai lab siye baiTha hun

aise guzre ho pahchante hi nahin
tum to jaise mujhe jaante hi nahin

ruk gaya aur kuchh soch kar kho gaya
dur apne tasawwur se bhi ho gaya

bhuli-bisri hui raat yaad aa gai
bite lamhon ki har baat yaad aa gai

kis ke hamrah aaya tha is moD par
kaun sath pane laya tha is moD par

han yahin teri zulfon ka saya mila
han yahin aarzuon ka ghuncha khila

han yahin dil ki dhaDkan hui thi jawan
han yahin to mile the zamin aasman

ab main is moD se kya kahun? tu bata
puchhta hai wo saya kahan rah gaya