gori-chaTTi yal ghani si
dudh aisi poshak badan ki
lambe nazuk mathe par mehndi ka ghaw
uDti-girti KHak sumon ki
muTThi-bhar kar munh par mil kar dil ki pyas bujhao
sadiyon ke dukh jhelte jao
rahe safar mein
hare mahakte kheton mein KHush-bash phire
apne pichhe aati quwwat ke nashe mein khoya
raste ke har bhaari patthar ko Thokar se toDe
aage hi aage ko dauDe
aaj yahan tak aa pahuncha hai
par wo kal ab dur nahin hai
jab us ke qadmon ke bhaale
qarya qasba shahr sabhi ko
pal-bhar mein mismar karenge
har shai ko taraj karenge
is marqad se
us marqad tak
raj karenge
aur phir wo din bhi aaega
jab ek tez sunahra nashtar
shah-e-rag mein is ki utrega
KHun ka fawwara chhuTega
aur wo quwwat
rengti aur phunkarti quwwat
mauj mein aa kar nach uThegi
KHushi se pagal ho jaegi
Nazm
Ashwmedh yagya
Wazir Agha