kitne dinon tak
raja ke darbar mein ek sadhu aata tha
jo us ko rose ek phal de jata tha
raja be-his be-parwa sa
is phal ko maKHzan ke ek kone mein phenk diya karta tha
ek din jab wo sadhu aaya
raja ke bandar ne us se wo phal chhina
aur jo khaya to us mein se
ek chamakta hira nikla
raja hairan sadhu ghaeb
raja phir maKHzan ke us kone mein pahuncha
aur wahan dekha hiron ka Dher laga tha
aur phal ke chhilke bikhre the
kaun tha wo sadhu aur aaj kahan ghaeb hai
wo phal kya hai jo har roz mile hum ko lekin hum us ka
antar dekh na paen us ki qadr na jaanen
zahir ke sadhaaran rup mein andar ka chamkila hira
jis ne bhi pahchana apne aap ko jaana
bahar se mamuli lagne wale phal ko phenk diya to
us ke andar ka hira ojhal hi rahega
Nazm
Andar ka chamkila hira
Krishna Mohan