اردو हिंदी
Ana aur andesha | Shaahi Shayari
ana aur andesha

Nazm

Ana aur andesha

Prem Warbartani

;

tere Dub jaane se kya farq paDta hai maghrur suraj
tere baad main hun

ujale ki manzil
charagh-e-gham-e-dil

jo har dair-o-kaba mein har raat jalta hai, tanha akela
jo tu Dub jaega maghrur suraj

to main jal uThunga tere baad lekin
agar bujh gaya main

mujhe chhu gaya koi jhonka hawa ka
to tarik ho jaega ghar KHuda ka