allahabad mein har-su hain charche
ki dilli ka sharabi aa gaya hai
ba-sad aawargi ya sad tabahi
ba-sad KHana-KHarabi aa gaya hai
gulabi lao chhalkao lunDhao
ki shaida-e-gulabi aa gaya hai
nigahon mein KHumar-e-baada le kar
nigahon ka sharabi aa gaya hai
wo sarkash rahzan-e-aiwan-e-KHuban
ba-azm-e-baryabi aa gaya hai
wo ruswa-e-jahan nakaam-e-dauran
ba-zoam-e-kaamyabi aa gaya hai
butan-e-naz-farma se ye kah do
ki ek tark-e-shahabi aa gaya hai
nawa-sanjaan-e-sangam ko bata do
harif-e-faryabi aa gaya hai
yahan ke shahr yaron ko KHabar do
ki mard-e-inqilabi aa gaya hai
Nazm
Allahabad se
Asrar-ul-Haq Majaz