magar ye aarzu kab thi
ki hum aflak ke farman ki suli pe ja laTken
to aaKHir kis liye waqt-o-makan ki ghaTiyan utren
bana kar marqadon ko dar-e-adam ke aasman ki KHak chhanin
aur phir jiwan ke mausam ko asiri ka kafan oDhen
magar in sab sawalon ke jawabon se bahut pahle
naya din surajon par baiTh kar
khiDki ke raste KHwab-zaron mein utarta hai
hum apne tooth-brush munh mein liye aur toliye ko hath mein thame
phir ek jabr-e-musalsal ke liye tayyar hote hain
ghaDi ke saz par calendaron ke safhe kitne hain
Nazm
Aflak gunge hain
Ravish Nadeem