wo salmiyyat thi ek wahdat
wo kaamiliyyat kisi tarah ek ghair-mazbut saniye mein bikhar gai to
alag hua us ka ek hissa!
wo ek unsur ka ek hissa
jhaTak ke daman
KHala ke gahre amiq la-waqt faslon ko ubur karta
hazaron sadiyon ki duriyon par chala gaya hai!
koi nahin jaanta ke kaise wo na-mukammal shikasta unsur
adhure-pan ki aziyyaton se guzar raha hai
magar wo itna to jaanta hai
ki jaan se bhi aziz-tar wo adhura unsur
aTuT bandhan ki ek Dori se be-lachak sa bandha hua hai!
hawa ki Dori ka ek sira us ke hath mein hai
to dusra us ke hath mein hai
agar ye ranjur ho gaya to
hawa ke taron pe dukh ki lahren
wahan pahunch kar
use bhi dukh mein lapeT lengi!!
Nazm
Adhura unsur
Parvin Sheer