ek bosida masjid mein
diwaron mehrabon par
aur kabhi chhat ki jaanib
meri aankhen ghum rahi hain
jaane kis ko DhunD rahi hain
meri aankhen ruk jati hain
lohe ke us KHali hook par
jo KHali KHali nazron se
har ek chehra dekh raha hai
ek aise insan ka shayad
jo ek pankha le aaega
laega aur dur karega
masjid ki be-samani ko
KHali hook ki virani par
main ne jab us hook ko dekha
meri nannhi phul si beTi
meri aankhon mein dauD aai
bholi man ne us ki
apni pyari raj-dulari beTi ke
donon kanon ko
apne hathon se chhed diya hai
phulon jaise kanon mein phir
nim ke tinke Dal diye hain
ummidon aason ke sahaare
dil hi dil mein soch rahi hai
jab hum ko allah hamara
thoDa sa bhi paisa dega
beTi ke kanon mein us din
baaliyan hongi bunde honge
main ne anthak mehnat kar ke
pankha ek KHarid liya hai
masjid ke is KHali hook ko
main ne pankha saunp diya hai
hook mein pankha dekh ke mujh ko
hota hai mahsus ki jaise
meri beTi baaliyan pahne
ghar ki chhat par ghum rahi hai
Nazm
ADe kabutar uDe KHayal
Munawwar Rana