chhan kar dekh li reg-e-dasht-e-ziyan
DhunDh pae na hum dusra aasman
ajnabi mausamon ki uDanon mein TuTe paron ki tarah
hum jiye bhi to kya
kis ne dekha hamein
chashm-e-nam ke kinaron pe Thahre hue manzaron ki tarah
raat ki aankh se bah gae KHwab bhi hum bhi
madum ki an-suli nind mein
yaad ke taq mein ab tamanna ki lo
ka nishan tak nahin
wahima sa hai bas
koi aahaT thi hamrah ya kuchh na tha
KHwab-e-hasti hamein ek aziyyat bhare
dam-e-madumiyat ke siwa kuchh na tha
Nazm
Adam KHwab ke KHwab mein
Nahid Qamar