thartharaati rahi charagh ki lau
ashk palkon pe kanp kanp gae
koi aansu na ban saka tara
shab ke sae nazar ko Dhanp gae
kaT gaya waqt muskurahaT mein
qahqahe ruh ko pasand na the
wo bhi aanhken chura gae aaKHir
dil ke darwaze jin pe band na the
saunp jata hai mujh ko tanhai
jis pe dil e'tibar karta hai
banti jati hun naKHl-e-sahrai
tu ne chaha to main ne man liya
ghar ko bazar kar diya main ne
bech kar apni ek ek umang
tujh ko zardar kar diya main ne
apni be-chaargi pe ro ro kar
dil tujhe yaad karta rahta hai
qahqahon ke siyah ujale mein
jism fariyaad karta rahta hai
Nazm
Actress
Qateel Shifai