abhi Thahro
abhi kuchh kaam baqi hain
zara ye kaam nimTa len to chalte hain
abhi to na-mukammal nazm ka ek aaKHiri misra kitab-e-hijr mein tahrir karna hai
KHas-o-KHashak-e-gham aslaf mein taqsim ho jaen to sar se bojh utre
qarz ka jama pahan kar ek nae raste pe jaana kab munasib hai
abhi Thahro
abhi hum ko jazire mein hawa ke sabz jhonkon se shajar ki baat karna hai
saweron ki imamat karne wali zau nigahon mein pirone tak Thahar jao
andheron mein kisi lau ke bina lamba safar aaghaz karna kab munasib hai
abhi Thahro
hujum-e-dil-baran aadab-e-girya se nahin waqif
dar-o-diwar-e-hasrat mein zara si bhiD lag jae to chalte hain
KHabar bhejo
ki yun chup-chap mayyat ki tarah ghar se nikalna kab munasib hai
zara Thahro
abhi kuchh kaam baqi hain
zara ye kaam nimTa len to chalte hain
Nazm
Abhi kuchh kaam baqi hain
Najeeb Ahmad