lo raat ki baat tamam hui
ab din ki baaten karte hain
sab KHwab tamashe dhul hue
aur jugnu tare dip sabhi
parkash ke phaile sagar mein
chamkaT dikhana bhul gae
ek chand ki shab bhar sath raha
wo chand bhi gir kar TuT gaya
lo raat ki baat tamam hui
ab din ki baaten karte hain
phulon ke suje chehron par
shabnam ki chiDiyan utri thin
in chiDiyon par hum suraj ke
tiron ka nishana takte hain
adh-michi apni palkon se
hum galiyon aur bazaron mein
sone ke reze chunte hain
aur daghon dhabbon shiknon se
diwaren kali karte hain
phir ujle kaghaz par likkhi
sab gandi KHabren paDhte hain
lo raat ki baat tamam hui
ab din ki baaten karte hain
Nazm
Ab din ki baaten karte hain
Wazir Agha