shab ke aawara-gard shahzade
ja chhupe apni KHwab-gahon mein
paD gae hain gulabi Dore se
raat ki shabnami nigahon mein
sim tan apsaraon ke jhurmuT
mahw-e-parwaz hain fazaon mein
raat-rani ki dil-nashin KHushbu
ghul gai manchali hawaon mein
jhil ki be-qarar jal-pariyan
aa ke sahil ko chum jati hain
dam-ba-dam meri Dubti nazren
teri rahon pe ghum jati hain
muntazir hai udas pagDanDi
ek sangit rez aahaT ki
rah takti hain adh-khuli kaliyan
teri masum muskurahaT ki
jaane kitne hi rat-jage bite
aarzuon ki narm jaanon par
so gae thak ke dard ke mare
aas ki khurduri chaTanon par
Nazm
Aas
Shahid Akhtar