dil ke darwaze par kis ne dastak di hai?
koi nahin hai!
andar bahar itni gahri itni bojhal
KHamoshi hai
jaise faza ka dam ghuT jae
lekin dekho dur kahin se
gore nange aur kunware do pairon mein
ujli ujli chandi ki zanjiren pahne
zina chaDhti aai achanak
chham-chham karti ek purani yaad ki jis se
sahm gae sochon ke sae
jaise qabristan se uTh kar
ruh kisi ki aae
aur phir aankh jhapakte kho jae!
Nazm
Aankh-micholi
Prem Warbartani