kabhi KHushk mausam mein purwa jo chalti
to banjar pahaDon ghane gard-alud shahron se katra ke
hum tak pahunchti
hamein tund yaadon ke girdab main
Dubte aur ubharte hue dekh kar hum se kahti
main un sab ke jismon se mas ho ke aai hun
un ke pasine ki KHushbu ko
apne libaade mein bhar kar
hatheli pe rakh kar main lai hun
kabhi surKH suraj nikalta
to hum us se kahte
tumhaari dahakti hui aankh ka raaz kya hai
wo kahta
main in sab ki aankhon ke ghurfon se
ye sari ujli tamazat churaata raha hun
main daryuza-gar un charaghon se KHud ko jalata raha hun
unhen hum ne DhunDa
kabhi sabz shabnam ke chhinTon mein taron ki roti hui anjuman main
kabhi subh ki qatl-gah shab ke ghayal badan mein
unhen hum ne aawaz di ku-ba-ku
gham mein Dubi hui bastiyon se aTe KHak-dan-e-watan mein
magar wo nahin the kahin bhi nahin the
kahin un ke qadmon ki halki si aawaz tak bhi nahin thi
phir ek rose dharti ka mausam jo badla
to baadal ne shanon se hum ko hila kar jagaya
kaha un ke aane ka paigham aaya
chahakte parindon ne shaKHon se uD kar
hawaon mein ek daera sa banaya
kaha un ke aane ka paigham aaya
dhanak sat rangon mein lipTi hui
ek kaman ban ke zahir hui
hum se kahne lagi apni aankhon se dekha hai main ne unhen
tez qadmon se aate hue
sham hansne lagi
us ki aankhon mein KHushiyon ke aansu the
aariz pe shabnam
naginon ki surat chamakne lagi thi
Nazm
Aamad
Wazir Agha