اردو हिंदी
Aalamon ko ban bas dene wale | Shaahi Shayari
aalamon ko ban bas dene wale

Nazm

Aalamon ko ban bas dene wale

Abu Bakr Abbad

;

suraj se sae ki tawaqqoa baadal se sunahri dhup ki
kanTon se mahakte phul ki KHushbu sahra se hariyali ki

kaise bhule aap hain sahab kaisi tawaqqoa rakhte hain
kichaD mein jab aap chalenge panw to gande honge hi

jhuTon ki sohbat mein rah kar sach kaise kah paenge
mare hue insan ke lahm se kyun raghbat rakhte hain aap

ab bhi thoDa waqt bahut hai qalb-e-mahiyat kar len
ahl-e-hawas ke samne jhuk ke

baunon ki sana mein be-KHud hain
apne ji ka sauda kar ke logon ki malamat sahte hain

bahut hua bas band karen ab apni zamir-faroshi ko
duniya wale sochte honge aalam kyun aise hain ab

lekin un ko kaun batae
aap ne zar aur jism ki KHatir

jahil ko tauqir hai baKHshi aalim ko ban-bas diya hai
aur aalim tujh kizb-e-sifat ko mahw-e-hairat tak raha hai

ilm jo shahr-e-ilm ke bahar ab bhi girya karta hai
apni aur teri haalat par gham ke aansu rota hai

kash ki ho taufiq zara si
thoDa pasheman ho len aap

tauba ki manzil se pahle
apni surat dekhen aap