اردو हिंदी
AaKHiri tambih | Shaahi Shayari
aaKHiri tambih

Nazm

AaKHiri tambih

Urooj Zehra Zaidi

;

mujhe malum tha tum rasta badloge
tabhi aankhon mein KHwabon ko zara si bhi jagah na di

magar ye dil
magar ye dil bahut kambaKHt hai sunta nahin meri

so ab jo tum ne apni rah badli hai
to ab masum ban ke rota-dhota hai

mujhe kahta hai phir aaghosh mein le lo
mujhe sine mein phir rakh lo

main ab ho baat manunga
magar wo kya hai nan us par tumhaara nam kanda hai

tumhaara nam ab wahshat se baDh kar kuchh nahin deta
usi ki chiz hoti hai ki jis ka nam likkha ho

tumhaari sari chizen to tumhein lauTa chuki hun main
suno ye dil bhi le jao

aur apni chizen ab sambhaal kar rakhna
dobara se tumhaare nam ka kuchh bhi

kabhi bhi aur kahin se bhi
kisi tarah bhi mere pas na aae

main sayyad hun
main jo ek bar de dun phir use wapas nahin leti