in dinon mere andar ghamsan ka ran paD raha hai
apne KHilaf apna hi difaa kar raha hun
jang mein har harba jaez hota hai
main ne ek bahadur ki manind
ochha hathiyar istimal na karne ka faisla kiya tha
lekin junhi mere gird hisar tang hone lagta hai
meri zirah-baktar ke halqe TuTne lagte hain
aur bachao ke har raste par
TikTiki dikhai deti hai
to main koi na koi ochha hathiyar
istimal karne par majbur ho jata hun
kisi sarkash KHayal ke peT mein
chupke se KHanjar utar deta hun
kisi gustaKH jazbe ko
mufahamat ke bahane bula kar
diwar mein chun deta hun
main jaanta hun
mere difaa mein
shigaf paD chuke hain
lekin mera irada
aaKHir tak DaTe rahne ka hai
phir tamam rahen masdud pa kar
aaKHiri harba istimal karunga
apni maut ka elan is tarah karunga
jaise main nahin
mera dushman mara ho
Nazm
AaKHiri harba
Javed Shaheen