bahut din rah liya ku-e-nadamat mein
hazimat ke bahut se war hum ne sah liye
tera ye shahr shahr-e-jaan nahin hai
tere is shahr mein ab aur kya rahna
hamare KHwab
tere KHar-o-KHas mein the
hamare lafz
teri pesh-o-pas mein the
ki hum har sans
teri dastaras mein the
tere ujle dinon se
hum ko kya hissa milega
gada ke hath mein
TuTa hua kasa rahega
hamesha ke liye shayad
yahi qissa rahega
ab is dhoke mein kya rahna
bahut din rah liya ku-e-nadamat mein
Nazm
AaKHiri din se pahle
Abrar Ahmad