اردو हिंदी
Aaina raushan KHat-e-zangar se | Shaahi Shayari
aaina raushan KHat-e-zangar se

Nazm

Aaina raushan KHat-e-zangar se

Akhtar Husain Jafri

;

chand ke sae mein lau deta badan
TimTimate honT

miThi raushni
gholna pyalon mein amrit gholna

kholna ilzam sare kholna jo badan milte samay khulte nahin
shama jalne

dosti par sach utarne ki ghaDi aane ko hai
dil mein jitna khoT tha sab paDh liya

us aankh ne
aankh ne apni qasam toDi nahin

dastaKHat mere bhi hote iKHtitam-e-satr par
us ne kaghaz par jagah chhoDi nahin

aaina raushan KHat-e-zangar se
dard-e-ruswa se rihai ki saza thoDi nahin