is ke aadab to pahle sikho 
KHak mein KHun-e-rag-e-jaan to 
mila kar dekho 
aankh dariya to bana kar dekho 
sham ki ThanDi hawa raston ko degi bose 
KHwab aaankhon mein samundar ka utar aaega 
rang mein rang milenge 
git phir chheDenge dariya ke kinare ashjar 
aaina dekhte ho 
sath-e-dariya pe jahan kai bane aaina 
chandni jhil ki lahron pe bane aaina 
ashk aaankhon se gire aur bane aaina 
sarbanon ke qadam chumte jo dasht bane aaina 
aatish-e-gham se jale dil to bane aaina 
aankh se saf karo gard 
nazar tez karo 
KHak mein KHwab milao 
use mahmez karo
        Nazm
Aaina dekhte ho
Faheem Shanas Kazmi

