apne adhure wajud ke sath
main ne apni aadhi qabr man ki kokh mein banai
aur aadhi bap ke dil mein
main apni donon qabron mein
thoDa thoDa ji raha hun
thoDa thoDa mar raha hun
masiha ne apne nusKHe mein
meri tahlil ki tajwiz likhi hai
baba ne mere dobara janm ka mashwara manga
aur man ne mere be-nam katbe ko aansuon se saf kiya
tab
mere adhure aur pure janm ka faisla mujh par chhoD diya gaya
do qabron mein bane wajud ka taKHmina lagate hue
sochta hun
kya karun?
marne ke liye ji uThun?
ya jine ke liye multawi ho jaun?
pyare ristho!
main ek taraf duaon ke kafan mein lipTa paDa hun
aur dusri taraf
mere sirhane suraj-mukhi ka phul dhara hai
Nazm
Aadhi maut ka janm
Anjum Saleemi