muddaton main ek andhe kuen mein asir
sar paTakta raha giDgiData raha
raushni chahiyeØ chandni chahiyeØ zindagi chahiye
raushni pyar ki, chandni yar ki, zindagi dar ki
apni aawaz sunta raha raat din
dhire dhire yaqin dil ko aata raha
sune sansar mein
bewafa yar mein
damn-e-dar mein
raushni bhi nahin
chandni bhi nahin
zindagi bhi nahin
zindagi ek raat
wahima kaenat
aadmi be-bisat
log kotah-qad
shahr shahr-e-hasad
ganw in se bhi bad
in andheron ne jab pis Dala mujhe
phir achanak kuen ne uchhaala mujhe
apne sine se bahar nikala mujhe
saikDon misr the samne
saikDon us ke bazar the
ek buDhi zuleKHa nahin
jaane kitne KHaridar the
baDhta jata tha yusuf ka mol
log bikne ko tayyar the
khul gae mah-jabinon ke sar
reshmi chadaren haT gain
palken jhapkin na nazren jhukin
marmarin ungliyan kaT gain
hath daman tak aaya koi
dhajjiyan dur tak baT gain
main ne Dar ke laga di kuen mein chhalang
sar paTakne laga phir isi karb se
phir isi dard se giDgiDane laga
raushni chahiye chandni chahiye zindagi chahiye
Nazm
Aadat
Kaifi Azmi