ye dawa hai
jahan mein chand logon ka
ki hum ne zindagi ko jit rakkha hai
hamare pas yani atomi hathiyar hain itne
hamara dost nanha alien bhi hai
karoDon sal ki tariKH ko ab jaante hain hum
ki hum ne maut par ab fath pa li hai
planet mars par pani bhi DhunDa hai
ye sab kahte hue aksar
wo shayad bhul jate hain
abhi ek chiz baqi hai ki jo un-mapped hai ab tak
jise hum zehn kahte hain
hamare science-danon ne bhi mana hai
ki ab tak kuchh hi hissa zehn ka
hum jaan pae hain
bahut kuchh hai jise ab bhi hamein D-code karna hai
main aksar sochta hun
soch kar hairan hota hun
faqat kuchh gram ke is zehn se ye sari halchal hai
sitare chand suraj titliyan jugnu bhari raaten
ye sara art aur us art par tanqid jo kuchh hai
kitabon se bhari har library
aur insanon ke dil mein baDh rahi duri
kahin naraazgi aankhon mein bhar kar KHud mein hi ghuTna
kahin par bhuk bimari ya politics ki power
ye fb aur twitter par jo jari hain sabhi bahsen
aur instagram par har pal ki taswiren
ye duniya-bhar ki filmen aur festiwal
ye mere samne baiThe hue phulon se nazuk log
mere honThon se ek ek nazm ka yun TuTte rahna
faqat kuchh gram ke is zehn se hi sari halchal hai
nigahen moD kar ye dekhna mera
tumhaara muskurana bhi
falak ko dekh kar yun ruTh jaana bhi
ki apni zindagi mein raushni ke nam par
kuchh bhi nahin hai
aur ye kya khel hai
jis mein mahz maten hi maten hain
mahz ghaten hi ghaten hain
magar ye dukh jo hum ko raat-din mahsus hota hai
hamare zehn se uThta dhuan hai bas
agar hum ghaur se dekhen to Dheron raaz khulte hain
ki main tum se agar kahta hun
tum se ishq karta hun
to ye sun kar tumhaari sans ki lai tez chalti hai
yahi anfas ka parda
jo uThta hai
jo girta hai
isi anfas ke parde ke pichhe se
hamara zehn sab kuchh dekhta hai
sochta hai baat karta hai
sadi se band darwazon ke pichhe se
koi aawaz aati hai
hamein lagta hai ye sab kuchh hamin to kar rahe hain
par haqiqat aur hi kuchh hai
hamein malum karna hai
ki jalte zehn ke jangal ka raja kaun hai aaKHir
hamein malum karna hai
hamare zehn mein chhup kar ishaare kaun karta hai
ye kis ke hukm par hum rose marte aur jite hain
ye kis ke waste hum zindagi ka zahr pite hain
Nazm
Zehn
Tripurari