bahr-e-gham mein hai saKHt tughyani
sar se upar guzar gaya pani
kab tak ai nuzhat-e-barishta-jigar
shor ya rab se arsh-e-jumbani
rone-dhone se jaan khone se
kahin bante hain kaam diwani
dard-e-dil dard-afrin ko suna
kar guzar ji mein hai jo kuchh Thani
dasht-e-wahdat hai dasht-e-wahdat hai
dekh aahista kar faras-rani
be-KHabar pahle naqsh kar dil par
azmat-e-bargah-e-yazdani
maya-e-ashk yan bazaat-e-mor
hech wan shaukat-e-sulaimani
pahle de sadqa ma-siwa allah
pahle kar jaan-o-dil ki qurbani
sadaf-e-fikr se nikal guhar
tar-ba-tar kar araq se peshani
nuzhat-e-be-zau use hadiya ba-dast
ho qubul-e-janab-e-sultani
hadiya kya ek sada daftar par
likh ke lai hun lafz-e-la-sani
din hai ulfat watan afghanistan
urf majnun hai hamesha hassani
Nazm
Tohfa-e-darwesh
Ze Khe Sheen