ye zamin ye aasman ye kaenat
ek la-mahdud wusat ek be-mani wajud
aadmi is abtari ki ruh hai
aadmi is madde ka zehn hai
abtari la-intiha
madda-e-la-intiha
aadmi mahdud hai
aadmi ka zehn bhi mahdud hai
ruh bhi mahdud hai
ye zamin ye aasman ye kaenat
jabr ka ek silsila
kis tarah samjhun use
karb hai aur ruh ki tanhaiyan
zehn ki KHamoshiyan
madde ki chaar diwari mein sar ko phoDta phirta hun main
zindagi ke KHatm ho jaane se pahle
raaz pa sakta nahin
aur jab mar jaunga
raaz ka ek juzw ban jaunga main
tab mujhe DhunDega kaun
kaun DhunDega mujhe
aah ye lachaargi bebasi
ek la-mahdud wusat ek be-mani wajud
ye zamin ye aasman ye kaenat
Nazm
Tanhai
Zahid Dar