zamin ka wajud mere intizar mein tha
meri sada ko
raushni ki shanaKHt ke liye suna gaya
jo azali paniyon se
fawware ki tarah phail rahi thi
main tez tez
aabshaar ki tarah zamin ke munh mein gir raha tha
zamin ka munh
gulab ke phul ki tarah hawa mein wa ho raha tha
pahli bar jab main aasman se gira tha
zamin ne meri aawaz ko mausiqi ki tarah suna tha
zamin ke dil mein dard ka dariya tha
jis mein main ne janm liya tha
ab main apne andar se us raushni ko yaad karta hun
jo mere wajud mein ghair-mamuli KHamoshi ke sath mahfuz hai
aur apni pahli maujudgi ke sath
meri aankhon mein ubhar aati hai
lekin main is aawaz ko kabhi nahin pa sakunga
jo mere ghar ka sukun hai
main har rose apne aap ko chhoDta hun
ek zaKHmi parinde ki tarah
jo band hawa main aasman ki tarah uDta hai
aur ek jila-watan ki tarah sans leta hai
Nazm
Jila-watan ki wapsi
Yaseen Afaqi