اردو हिंदी
Purane coat | Shaahi Shayari
purane coat

Nazm

Purane coat

Shaad Aarfi

;

hathi kan gala hai jis ka
astar udhDa daman khiska

aaKHir tum kya doge us ka
itne kam silwai de do

panch nahin to Dhai de do
fi silwaT nau pai de do

ye lo ghunDi kaise wala
aage pichhe gaDbaD-jhaala

jahil hai na hindi kala
buDDha tu kya soch raha hai

monchhon ko kyun noch raha hai
shayad jaDa kuch raha hai

aa sardi se pinD kaTa le
koi uni coat chuka le

us din ko bhagwan uTha le
jis din ye pahnawa chhoDun

janm ke sathi se munh moDun
na-samjhon se kya sar phoDun

rassi jis tahzib ki Dhili
botal ho jis chaak mein gili

sab jalti hai sukhi gili
ye jis ki bhi utran hogi

ya bhangan ya kanchan hogi
bewa banjh girahstan hogi

german aurat ka har daman
jab jhaTka khae ka kundan

bilkenge be-ginti jiwan
meri ye khaddar ki pinDi

un se unchi rui ki manDi
un coaton ko kali jhanDi