maut ka rag nafiri pe bajati aauThi
lo jhulasti hui lau
aauThi
baDhi
ret pe jaise dhuan uThta ho
sarsarahaT si daraKHton mein hui
patte murjha gae
girne lage
wo un ke khaDakne ki sada mere KHuda
lu ke hamrah baDhe
maut ke nach ka nikla tha julus
chaunk kar jag uThe sehn-e-chaman mein tair
aashiyanon se judai unhen manzur na thi
sahm kar uThe uDe uD ke wahin aan gire
un ki is aaKHiri fariyaad ki ghamnak sada mere KHuda
ek ghaTa-Top andhere mein jhukae hue sar
hath aankhon pe rakhe
baiThi hai ghamgin udas majbur
pahlu mein afsurda KHushi ko le
sans rukne laga
KHun jamne laga
be-kali DhunDhti phirti hai panah
rengta rengta KHauf aaya sisakta hua sanp
be-kali kanp uThi
KHauf jhapaT kar uTha be-kali naza mein thi
mujh ko bacha mere KHuda
tirgi kanpi
faza larzi
khuli kirnon ki rah
ruhen jo wusat-e-afaq mein aawara si thin
DhunDhti phirti thin manzil apni
phaDphaDae hue par apne uThin
aur hawaon mein baDhin
samne jannat-e-gum-gashta nazar aati thi

Nazm
Pashemani
Tasadduq Husain Khalid