zaban tum kaT lo ya phir laga do honTh par tale 
meri aawaz par koi bhi pahra ho nahin sakta 
mujhe tum band kar do tirgi mein ya salaKHon mein 
parinda soch ka lekin ye Thahra ho nahin sakta 
agar tum phunk kar suraj bujha doge to sun lo phir 
jala kar zehn ye apna ujala chhanT lunga main 
siyahi KHatm hoegi qalam jab TuT jaega 
to apne KHun mein ungli Duba kar sach likhunga main
        Nazm
Aazadi
Tripurari

