اردو हिंदी
Saut-e-nadida | Shaahi Shayari
saut-e-nadida

Nazm

Saut-e-nadida

Yaqoob Tasawwur

;

nind palkon ke saeban mein nahin
tair-e-KHwab kar gaya parwaz

wadi-e-chashm ke ufuq se pare
aankh mahw-e-tasawwuraat-e-husain

ek halchal si zehn-o-dil mein machi
aur nazar ek maqam Tikti nahin

KHushbuon ke hisar-e-gardish mein
hai samaat kuchh is qadar hassas

aankh ki putliyon ke thame hath
dauDti hai udhar se us jaanib

ek lamha use qarar nahin
ek manzar pe eatibar nahin