apni tabir ke sahra mein
jale KHwabon ki
is rakh ko tum
rakh ke Dher hi kyun kahte ho
baDh ke
us rakh ke sine mein utar kar
DhunDho
us ka imkan hai
tum rakh ke us Dher mein bhi
chand chingariyan rah rah ke damakti dekho
aur shayad tum ko
phir se jine ka bahana mil jae
Nazm
Imkan
Yaqoob Rahi