wahi ek ajnabi chehra mere KHwabon mein aata hai
udasi dekhti hun jab bhi us ki gahri aankhon mein
chura leta hai ye manzar meri har nind ka lamha
udasi us ke chehre ki mujhe sone nahin deti
mujhe ehsas hota hai ki us ki garm sansen bhi
mujhe sone nahin detin mujhe jine nahin detin
mujhe ehsas hota hai wahi ek ajnabi chehra
mere nazdik aa kar loriyon se apni dhaDkan ki
sulata hai mujhe aur dafatan phir luT jata hai
Nazm
Ek ajnabi chehra
Vishma Khan Vishma