zulmaton mein raushni ki justuju karte raho
zindagi bhar zindagi ki justuju karte raho
jis pe ho saqi ba-zom-e-hosh-mandi bhi fida
us mukammal be-KHudi ki justuju karte raho
be-junun chalta nahin hai kar-e-tamir-e-hayat
hosh walo aagahi ki justuju karte raho
aadmiyat ke siwa jis ka koi maqsad na ho
umr bhar us aadmi ki justuju karte raho
shart-e-irfan-e-KHuda 'anwar' hai KHud apni talash
yun to karne ko kisi ki justuju karte raho
Ghazal
Zulmaton mein raushni ki justuju karte raho
Anwar Sabri