zulmat-gah-e-dauran mein subh-e-chaman-e-dil hun
roko na safar mera main qismat-e-manzil hun
zindani-e-hasti hun paband-e-salasil hun
kis tarah milun tum se KHud rah mein hail hun
barbaad sahi lekin barbaad-e-gham-e-dil hun
aankhon se laga mujh ko gard-e-rah-e-manzil hun
ai sang-ba-kaf duniya aa shauq se aa lekin
aahista qadam rakhna main shisha-gah-e-dil hun
mauj-e-gham-e-jaanan ho ya mauj-e-gham-e-dauran
aane do mere dil tak har mauj ka sahil hun
hasti ko gham-e-alam aalam ko gham-e-hasti
zindan se bayaban tak ek silsila-e-dil hun
tum mahw-e-KHud-arai mein aalam-e-tanhai
tum mahfil-e-KHalwat ho main KHalwat-e-mahfil hun
KHun apni tamanna ka KHud kis ne kiya hoga
mujh par na taras khao bismil nahin qatil hun
gulshan se 'shamim' aaKHir kis tarah guzar jaen
har phul ye kahta hai main pyar ke qabil hun
Ghazal
Zulmat-gah-e-dauran mein subh-e-chaman-e-dil hun
Shamim Karhani