zulf dekhi wo dhuan-dhaar wo chehra dekha
sach bata dekhne wale use kaisa dekha
raat sari kisi TuTi hui kashti mein kaTi
aankh bistar pe khuli KHwab mein dariya dekha
zard galiyon mein khule sabz dariche jin mein
dhup lipTi rahi aur sae ko jalta dekha
kale kamron mein kaTi sari jawani us ki
jis ne ai subh-e-mohabbat tera rasta dekha
sunte rahte the ki yun hoga wo aisa hoga
lekin us ko to kisi aur tarah ka dekha
Ghazal
Zulf dekhi wo dhuan-dhaar wo chehra dekha
Ahmad Mushtaq