zuhur-e-kashf-o-karamat mein paDa hua hun
abhi main apne hijabaat mein paDa hua hun
mujhe yaqin hi nahin aa raha ki ye main hun
ajab tawahhum o shubhat mein paDa hua hun
guzar rahi hai mujhe raundti hui duniya
qadim o kohna riwayat mein paDa hua hun
bachao ka koi rasta nahin bacha mujh mein
main apne KHana-e-shah-mat mein paDa hua hun
main apne dil pe bahut zulm karne wala tha
so ab jahan-e-makafat mein paDa hua hun

Ghazal
Zuhur-e-kashf-o-karamat mein paDa hua hun
Anjum Saleemi