zor paida jism o jaan ki na-tawani se hua
shor shahron mein musalsal be-zabani se hua
der tak ki zindagi ki KHwahishen us but ko hain
shauq us ko intiha ka umr-e-fani se hua
main hua nakaam apni be-yaqini ke sabab
jo hua sab mere dil ki bad-gumani se hua
hai nishan mera bhi shayad shash-jihat-e-dahr mein
ye guman mujh ko KHud apni be-nishani se hua
tha 'munir' aaghaz hi se rasta apna ghalat
is ka andaza safar ki raigani se hua
Ghazal
Zor paida jism o jaan ki na-tawani se hua
Muneer Niyazi