اردو हिंदी
Zindagi kya hai wafa kya hai aqidat kya hai | Shaahi Shayari
zindagi kya hai wafa kya hai aqidat kya hai

Ghazal

Zindagi kya hai wafa kya hai aqidat kya hai

Hari Mehta

;

zindagi kya hai wafa kya hai aqidat kya hai
hum batate hain KHudaon ki haqiqat kya hai

main ne puchha hai sitaron se siyah raaton mein
kaun hai ku-e-gunah rah-e-tariqat kya hai

main ne haalat ki har aag mein jal kar jaana
rahat-e-qalb hai kya aur musibat kya hai

Tok deta hai bhale koi ghalat ho ki sahi
naseha ye to bata farz-e-nasihat kya hai

chand suraj ko sitaron ko parakhne walo
tum ko malum bhi hai chashm-e-basirat kya hai

kitne anjaan hain insan samajh baiThe hain
KHubsurat ho bashar phir to ye sirat kya hai

kis qadar dur 'hari' kesh chale aae ho
qadr thi des mein pardes mein qimat kya hai