zindagi kya hai ek manzar hai
ret hai tishnagi hai kikar hai
aap behad hasin hain lekin
dil to yaqut ka bhi patthar hai
ek taswir meri aankhon ki
ek taswir mein samundar hai
saya-e-atifat mein rahta hun
gham tera rahaton se baDh kar hai
aap kyun der se khaDe hain yahan
aaiye pas hi mera ghar hai
kucha-e-zat mein bhaTakta hun
aap ka rasta to az-bar hai
sansani aahaTon se pahle thi
KHauf KHamoshiyon ka mazhar hai
ek taswir mein jiye hum log
zindagi bhi ajib manzar hai
main sitara-mizaj hun 'rahil'
jagna hi mera muqaddar hai

Ghazal
Zindagi kya hai ek manzar hai
Rahil Bukhari