اردو हिंदी
Zindagi ko ek bahr-e-be-karan pati hun main | Shaahi Shayari
zindagi ko ek bahr-e-be-karan pati hun main

Ghazal

Zindagi ko ek bahr-e-be-karan pati hun main

Jameela Khatoon Tasneem

;

zindagi ko ek bahr-e-be-karan pati hun main
un ke hathon miT ke umr-e-jawedan pati hun main

KHud-baKHud dil ho gaya donon jahan se be-niyaz
ab zamin-e-ishq goya aasman pati hun main

chhuT-phuTe se dil bujha rahta hai teri yaad mein
chandni raaton mein ashkon ko rawan pati hun main

saikDon sajde taDapte hain jabin-e-shauq mein
ai haqiqat tera naqsh-e-pa kahan pati hun main

ab bhi aansu bah nikalte hain kisi ki yaad mein
andalib-e-zar ko jab nauha-KHwan pati hun main

apna ai 'tasnim' is duniya se ghabraata hai dil
yan ki har shai ko faqat wahm-o-guman pati hun main