zindagi KHatm bhi hone pe kasak baqi hai
ujDe ghar mein teri sanson ki mahak baqi hai
mere hamdam mujhe bedad se mahrum na kar
daman-e-ruh mein zaKHmon ki tapak baqi hai
mujh ko do chaar ghaDi aur bhi jine dije
siskiyon ki abhi zaKHmon mein sanak baqi hai
aas ki shama pighalne ko hai ab to aa ja
raat baqi hai sitaron mein chamak baqi hai
main kisi wada-faramosh ka aaina hun
meri aankhon mein abhi us ki jhalak baqi hai
dil-e-zaKHmi liye baiTha hun azizan-e-kiram
aao kuchh aur chhiDak do jo namak baqi hai

Ghazal
Zindagi KHatm bhi hone pe kasak baqi hai
Khalid Fatehpuri