zindagi husn se tabir bhi ho sakti thi
chandni dasht pe tahrir bhi ho sakti thi
be-bas jada-e-pur-KHar pe lai mujh ko
bebasi panw ki zanjir bhi ho sakti thi
ek aawaz-e-tilismat mein Dubi aawaz
aisi aawaz ki taswir bhi ho sakti thi
ek saya pas-e-diwar bhi lahraata tha
sansani itni hama-gir bhi ho sakti thi
bhagte bhagte sab rang sameTe hum ne
waqt ka pher hai taKHir bhi ho sakti thi

Ghazal
Zindagi husn se tabir bhi ho sakti thi
Rahil Bukhari