zindagi dil pe ajab sehr sa karti jae
ek jagah Thahri lage aur guzarti jae
aansuon se koi aawaz ko nisbat na sahi
bhigti jae to kuchh aur nikharti jae
dekhte dekhte dhundla gae manzar sare
teri zulfon ki tarah sham bikharti jae
baat ka raaz khule baat ka andaz khule
tere honTon se chale dil mein utarti jae
rafta rafta kisi gum-nam lahu ki tahrir
qatil-e-shahr ke daman pe ubharti jae
ho ke barbaad chale sehn-e-chaman se nikhat
dasht-o-sahra ki magar jholiyan bharti jae
main ne kab dawa-e-ilham kiya hai 'taban'
likh diya karta hun jo dil pe guzarti jae
Ghazal
Zindagi dil pe ajab sehr sa karti jae
Taban Ghulam Rabbani