اردو हिंदी
Zindagi dekh le kuchh der tamasha apna | Shaahi Shayari
zindagi dekh le kuchh der tamasha apna

Ghazal

Zindagi dekh le kuchh der tamasha apna

Muneer Saifi

;

zindagi dekh le kuchh der tamasha apna
TuTta jata hai aawaz se rishta apna

do-ghaDi ko bhi kisi ne mujhe kandha na diya
umr-bhar Dhota raha KHud hi janaza apna

nasb har shaKHs nazar aata hai chaurahe par
aadmi bhul gaya bhiD mein rasta apna

kitni sadiyon se hun anjaan safar mein 'saifi'
aaj tak main ne to ghar bhi nahin dekha apna