اردو हिंदी
Zindagi ab rahe KHata kab tak | Shaahi Shayari
zindagi ab rahe KHata kab tak

Ghazal

Zindagi ab rahe KHata kab tak

Hari Mehta

;

zindagi ab rahe KHata kab tak
jurm ki barha saza kab tak

naKHuda hun main apni kashti ka
ye KHudaon ka silsila kab tak

apni pathra gai hain aankhen bhi
husn parda uThaega kab tak

kaun pakDega bhagte sae
kaun dekhega rasta kab tak

ghaaliban aur shahrahen hain
ek hi band rasta kab tak

aadmi aadmi ka dushman hai
jaane ho mehrban KHuda kab tak

be-sabab phir rahe hain muddat se
kijiye waqt ka gila kab tak

kaam apna 'hari' parastish hai
be-asar phir rahe dua kab tak